Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya

Rafiq Raaz

siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya

Rafiq Raaz

siyāh dasht jānib safar dobāra kiyā

na jaane qaaf pariyoñ ne kyā ishāra kiyā

na tez o tund havā se milī najāt mujhe

na maiñ ne saltanat-e-ḳhāk se kināra kiyā

falak samt nigāheñ uThāne se pahle

zamīñ ke saare manāzir ko paara paara kiyā

siyāh ban meñ chamaktā huuñ misl-e-dīda-e-sher

ye kis ne zarra-e-āvāra ko sitāra kiyā

ḳhumār-e-ḳhvāb utarne meñ thoḌī der lagī

phir us ke baad baḌe shauq se nazāra kiyā

kisī ne muuñd ke āñkhoñ ko phir se khol diyā

ye kis ne aap ko duniyā pe āshkārā kiyā

hamāre hone ke manzar bhī karāmat dekh

tumhārī chashm ko favvāra-e-sharāra kiyā

nashe meñ naqsha riyāsat bigāḌ diyā

ye kyā kiyā ki samarqand ko buḳhārā kiyā

siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya

na jaane qaf ki pariyon ne kya ishaara kiya

na tez o tund hawa se mili najat mujhe

na main ne saltanat-e-KHak se kinara kiya

falak ki samt nigahen uThane se pahle

zamin ke sare manazir ko para para kiya

siyah ban mein chamakta hun misl-e-dida-e-sher

ye kis ne zarra-e-awara ko sitara kiya

KHumar-e-KHwab utarne mein thoDi der lagi

phir us ke baad baDe shauq se nazara kiya

kisi ne mund ke aankhon ko phir se khol diya

ye kis ne aap ko duniya pe aashkara kiya

hamare hone ke manzar ki bhi karamat dekh

tumhaari chashm ko fawwara-e-sharara kiya

nashe mein naqsha riyasat hi ka bigaD diya

ye kya kiya ki samarqand ko buKHara kiya

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now