Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sikha jo qalam se na-e-Khaali ka bajaana

Baqaullah 'Baqa'

sikha jo qalam se na-e-Khaali ka bajaana

Baqaullah 'Baqa'

sīkhā jo qalam se na-e-ḳhālī bajānā

kar naġhma 'baqā' fikrat-e-ālī bajānā

tasma mire mat dil pe divālī bajānā

ye laT jo hai chābuk usī kaalī bajānā

maarā kiye mutrib ba-chugāñ dil pe thapeḌe

sīkhe isī table pe vo taalī bajānā

ulfat meñ tirī ai but-e-be-mehr-o-mohabbat

aayā hameñ ik haath se taalī bajānā

le mol mire dil vo jab sāġhar-e-nāzuk

yaad aave na kaash us ko sifālī bajānā

is nāla-e-be-saut ne hairat meñ sikhāyā

saaz ab mujhe tasvīr-e-nihalī bajānā

bas ai ġham-e-ġhammāz mirī āh-e-jigar se

la.anat hai tirā baam pe thālī bajānā

be-sāqī-o-mai soch meñ hai kaam hamārā

baiThe sir-e-nāḳhun se pyālī bajānā

is kūdak-e-be-hosh aafat hai shab uTh kar

Thekoñ pe mirī aah ke taalī bajānā

suntā huuñ kisī poch jab daf-zanī-e-fikr

aatā hai mujhe yaad Dafālī bajānā

kartā hai 'baqā' naala to kar jhāñj meñ dil se

be-jhāñj hai kyā is daf-e-ḳhālī bajānā

sikha jo qalam se na-e-KHali ka bajaana

kar naghma 'baqa' fikrat-e-ali ka bajaana

tasma mere mat dil pe diwali ka bajaana

ye laT jo hai chabuk usi kali ka bajaana

mara kiye mutrib ba-chugan dil pe thapeDe

sikhe isi table pe wo tali ka bajaana

ulfat mein teri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat

aaya hamein ek hath se tali ka bajaana

le mol mere dil ka wo jab saghar-e-nazuk

yaad aawe na kash us ko sifali ka bajaana

is nala-e-be-saut ne hairat mein sikhaya

saz ab mujhe taswir-e-nihali ka bajaana

bas ai gham-e-ghammaz meri aah-e-jigar se

lanat hai tera baam pe thaali ka bajaana

be-saqi-o-mai soch mein hai kaam hamara

baiThe sir-e-naKHun se pyali ka bajaana

is kudak-e-be-hosh ka aafat hai shab uTh kar

Thekon pe meri aah ke tali ka bajaana

sunta hun kisi poch ki jab daf-zani-e-fikr

aata hai mujhe yaad Dafali ka bajaana

karta hai 'baqa' nala to kar jhanj mein dil se

be-jhanj hai kya is daf-e-KHali ka bajaana

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now