Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarf-e-gham humne naujawani ki

Sayyad Mohammad Meer Asar

sarf-e-gham humne naujawani ki

Sayyad Mohammad Meer Asar

sarf-e-ġham ham ne naujavānī

vaah kyā ḳhuub zindagānī

apnī biitī agar maiñ tujh se kahūñ

baat nibḌe na is kahānī

tere dāġhoñ ai ġham-e-ulfat

ḳhuub ham ne bhī bāġhbānī

juuñ nigah dil gayā hai āñkhoñ raah

garche ham ne nigāhbānī

kis ke haañ tum karam nahīñ karte

kabhū īdhar na mehrbānī

apne nazdīk dard-e-dil maiñ kahā

tere nazdīk qissa-ḳhvānī

harza-goī se mujh ko hai najāt

haigī minnat ye be-zabānī

nahīñ tāqat ki dam nikāl sakūñ

ab ye naubat hai nā-tavānī

'asar' is haal pe bhī jiitā hai

kyā kahūñ us saḳht-jānī

sarf-e-gham hum ne naujawani ki

wah kya KHub zindagani ki

apni biti agar main tujh se kahun

baat nibDe na is kahani ki

tere daghon ki ai gham-e-ulfat

KHub hum ne bhi baghbani ki

jun nigah dil gaya hai aankhon ki rah

garche hum ne nigahbani ki

kis ke han tum karam nahin karte

kabhu idhar na mehrbani ki

apne nazdik dard-e-dil main kaha

tere nazdik qissa-KHwani ki

harza-goi se mujh ko di hai najat

haigi minnat ye be-zabani ki

nahin taqat ki dam nikal sakun

ab ye naubat hai na-tawani ki

'asar' is haal pe bhi jita hai

kya kahun us ki saKHt-jaani ki

Source :
  • Deewan-e-asar
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now