Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai

Waheed Akhtar

sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai

Waheed Akhtar

sahrāoñ meñ dariyā bhī safar bhuul gayā hai

miTTī ne samundar lahū chuus liyā hai

duniyā malāmat bhī ab ḳhauf hai dil ko

ḳhāshāk ne maujoñ ko giraftār kiyā hai

manzil hai na jaada hai na saaya hai na paanī

tanhā.ī ehsās faqat rāh-numā hai

sūraj bhī paḌā rotā hai ik gahre kueñ meñ

barsoñ hue ākāsh bhī dhundlāyā huā hai

bichhḌe hue ḳhvāb aa ke pakaḌ lete haiñ dāman

har rāsta parchhā.iyoñ ne rok liyā hai

kirnoñ se tarāshā huā ik nuur paikar

sharmāyā huā ḳhvāb chaukhaT pe khaḌā hai

phūloñ se ladī Tahniyāñ phailā.e haiñ bāñheñ

ḳhushbū badan ḳhaak meñ pāmāl paḌā hai

dīvār-o-dar-e-shahr pe haiñ ḳhuun ke dhabbe

rañgoñ hasīñ qāfila sahrā meñ luTā hai

sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai

miTTi ne samundar ka lahu chus liya hai

duniya ki malamat ka bhi ab KHauf hai dil ko

KHashak ne maujon ko giraftar kiya hai

manzil hai na jada hai na saya hai na pani

tanhai ka ehsas faqat rah-numa hai

suraj bhi paDa rota hai ek gahre kuen mein

barson hue aakash bhi dhundlaya hua hai

bichhDe hue KHwab aa ke pakaD lete hain daman

har rasta parchhaiyon ne rok liya hai

kirnon se tarasha hua ek nur ka paikar

sharmaya hua KHwab ki chaukhaT pe khaDa hai

phulon se ladi Tahniyan phailae hain banhen

KHushbu ka badan KHak mein pamal paDa hai

diwar-o-dar-e-shahr pe hain KHun ke dhabbe

rangon ka hasin qafila sahra mein luTa hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now