Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sayon se bhi Dar jate hain kaise kaise log

Akbar Hyderabadi

sayon se bhi Dar jate hain kaise kaise log

Akbar Hyderabadi

MORE BYAkbar Hyderabadi

    sāyoñ se bhī Dar jaate haiñ kaise kaise log

    jīte-jī mar jaate haiñ kaise kaise log

    chhoḌ ke māl-o-daulat saarī duniyā meñ apnī

    ḳhālī haath guzar jaate haiñ kaise kaise log

    bujhe diloñ ko raushan karne sach ko zinda rakhne

    jaan se apnī guzar jaate haiñ kaise kaise log

    aql-o-ḳhirad ke bal buute par sab ko hairāñ kar ke

    kaam anokhe kar jaate haiñ kaise kaise log

    ho be-laus mohabbat jin ġhanī hoñ jin ke dil

    dāman sab ke bhar jaate haiñ aise aise log

    sayon se bhi Dar jate hain kaise kaise log

    jite-ji hi mar jate hain kaise kaise log

    chhoD ke mal-o-daulat sari duniya mein apni

    KHali hath guzar jate hain kaise kaise log

    bujhe dilon ko raushan karne sach ko zinda rakhne

    jaan se apni guzar jate hain kaise kaise log

    aql-o-KHirad ke bal bute par sab ko hairan kar ke

    kaam anokhe kar jate hain kaise kaise log

    ho be-laus mohabbat jin ki ghani hon jin ke dil

    daman sab ke bhar jate hain aise aise log

    Source :
    • Book : Firdaus-e-Khayal (Poetry) (Pg. 49)
    • Author : Akbar Hyderabadi
    • Publication : Nirali Duniya Publications (2002)
    • Edition : 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now