Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare mamulat mein ek taza gardish chahiye

Hakeem Manzoor

sare mamulat mein ek taza gardish chahiye

Hakeem Manzoor

saare ma.amūlāt meñ ik taaza gardish chāhiye

nam zamīñ par ḳhushk mausam navāzish chāhiye

shahr ke aa.iin meñ ye mad bhī likkhī jā.egī

zinda rahnā ho to qātil sifārish chāhiye

merī mushkil bhāgte lamhoñ ko pakḌūñ kis tarah

zid use an-dekhe ḳhvāboñ numā.ish chāhiye

bhejtā maiñ kis ko sub.hoñ kuñvārī raushnī

us ko būḌhī raat ke rañgoñ tābish chāhiye

sūkhte alfāz ke mausam meñ harf-e-tar huuñ maiñ

phir sazā pahle samā.at navāzish chāhiye

jo hamārā thā vo niklā āftāboñ halīf

kis ḳhudā se ab kahā jaa.e ki bārish chāhiye

bāryābī shart-e-ḳhāmoshī pe hai vo is tarah

pahle tafsīl-e-ahvāl-e-guzārish chāhiye

buz-dilī merī thī jo 'manzūr' maiñ zaḳhmī huā

vo sipar-bardār the un satā.ish chāhiye

sare mamulat mein ek taza gardish chahiye

nam zamin par KHushk mausam ki nawazish chahiye

shahr ke aain mein ye mad bhi likkhi jaegi

zinda rahna ho to qatil ki sifarish chahiye

meri mushkil bhagte lamhon ko pakDun kis tarah

zid use an-dekhe KHwabon ki numaish chahiye

bhejta main kis ko subhon ki kunwari raushni

us ko buDhi raat ke rangon ki tabish chahiye

sukhte alfaz ke mausam mein harf-e-tar hun main

phir saza pahle samaat ki nawazish chahiye

jo hamara tha wo nikla aaftabon ka halif

kis KHuda se ab kaha jae ki barish chahiye

baryabi shart-e-KHamoshi pe hai wo is tarah

pahle hi tafsil-e-ahwal-e-guzarish chahiye

buz-dili meri thi jo 'manzur' main zaKHmi hua

wo sipar-bardar the un ki sataish chahiye

Source :
  • Book : URDU-1983 (Pg. 132)
  • Author : Publishers & Advertisers J-6,Krishan Nagar
  • Publication : NAND KISHORE VIKRAM (1983)
  • Edition : 1983
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now