Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni chashm-e-KHaridar mein aati hi nahin

Siraj Ajmali

raushni chashm-e-KHaridar mein aati hi nahin

Siraj Ajmali

Interesting Fact

Vol. 262, November 2002

raushnī chashm-e-ḳharīdār meñ aatī nahīñ

kuchh kamī raunaq-e-bāzār meñ aatī nahīñ

us se kuchh aisā ta.alluq hai ki shiddat jis

kisī pairāya-e-iz.hār meñ aatī nahīñ

jo nahīñ hotā bahut hotī hai shohrat us

jo guzartī hai vo ash.ār meñ aatī nahīñ

saḳht hairāñ huuñ salāhiyyat-e-ḳhaibar-shiknī

vāris-e-haidar-e-karrār meñ aatī nahīñ

tum ne dekhī hai ajab kaifiyat-e-chashm 'sirāj'

baat vo nargis-e-bīmār meñ aatī nahīñ

raushni chashm-e-KHaridar mein aati hi nahin

kuchh kami raunaq-e-bazar mein aati hi nahin

us se kuchh aisa talluq hai ki shiddat jis ki

kisi pairaya-e-izhaar mein aati hi nahin

jo nahin hota bahut hoti hai shohrat us ki

jo guzarti hai wo ashaar mein aati hi nahin

saKHt hairan hun salahiyyat-e-KHaibar-shikni

waris-e-haidar-e-karrar mein aati hi nahin

tum ne dekhi hai ajab kaifiyat-e-chashm 'siraj'

baat wo nargis-e-bimar mein aati hi nahin

Source :
  • Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1134)
  • Author : Shamsur Rahman Faruqi
  • Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
  • Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now