Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqs-e-ashufta-sari ki koi tadbir sahi

Arshi Bhopali

raqs-e-ashufta-sari ki koi tadbir sahi

Arshi Bhopali

raqs-e-āshuftā-sarī koī tadbīr sahī

lo mire paañv meñ ik aur bhī zanjīr sahī

imtihāñ is dil-e-pur-shauq karte rahiye

aur is jurm-e-vafā par koī tāzīr sahī

tān-o-dushnām se dīvāne na baaz ā.eñge

koī ilzām sahī tohmat-e-taqsīr sahī

ham to āvāra-e-sahrā haiñ hameñ kyā matlab

un mahfil meñ junūñ koī tauqīr sahī

har koī yūsuf-e-kan.āñ to nahīñ ban saktā

merā fardā mire ḳhvāb tābīr sahī

qāfile kitne manzil se bhaTak jaate haiñ

ham musāfir na sahī ham koī rah-gīr sahī

nāra-e-zulf-e-sanam shart-e-junūñ kyā ma.anī

dard rusvā sahī ishq jahāñgīr sahī

raqs-e-ashufta-sari ki koi tadbir sahi

lo mere panw mein ek aur bhi zanjir sahi

imtihan is dil-e-pur-shauq ka karte rahiye

aur is jurm-e-wafa par koi tazir sahi

tan-o-dushnam se diwane na baz aaenge

koi ilzam sahi tohmat-e-taqsir sahi

hum to aawara-e-sahra hain hamein kya matlab

un ki mahfil mein junun ki koi tauqir sahi

har koi yusuf-e-kanan to nahin ban sakta

mera farda hi mere KHwab ki tabir sahi

qafile kitne hi manzil se bhaTak jate hain

hum musafir na sahi hum koi rah-gir sahi

nara-e-zulf-e-sanam shart-e-junun kya mani

dard ruswa hi sahi ishq jahangir sahi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now