Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang jin ke miT gae hain un mein yar aane ko hai

Agha Hajju Sharaf

rang jin ke miT gae hain un mein yar aane ko hai

Agha Hajju Sharaf

rañg jin ke miT ga.e haiñ un meñ yaar aane ko hai

dhuum hai pazhmurda phūloñ meñ bahār aane ko hai

yaar kūche meñ tire dhūnī ramāne ke liye

ġham-zada hasrat-zada ik ḳhāksār aane ko hai

rahm karnā ab merī aañkh khulne nahīñ

āḳhirī ġhash mujh ko ai parvardigār aane ko hai

koī dam meñ hashr hogā kuchh ḳhabar bhī hai tumheñ

be-qarārī laatī hai ik be-qarār aane ko hai

bhāge jaate haiñ bagūle kāñptā hai najd-e-qais

ḳhaak uḌī kis yahāñ kis ġhubār aane ko hai

hosh uḌe jaate haiñ yaaro ruuh hai sahmī huī

said-gāh-e-ishq se kis shikār aane ko hai

jān-e-jāñ kiijo jāñ-baḳhshī ki tujh ko dekhne

ek be-kas be-ḳhud o be-iḳhtiyār aane ko hai

dard-e-tanhā.ī se chhuḌātā hai aalam naza.a

be-qarārī kuuch kartī hai qarār aane ko hai

gul-ruḳhoñ bazm meñ jaane ko hai merā ġhubār

peshvā.ī ke liye abr-e-bahār aane ko hai

ab mirī āñkhoñ ko hogā valvala dīdār

hasrat in meñ aa chukī hai intizār aane ko hai

hogī ab ārāsta turbat shahīd-e-nāz

chādar-e-gul bichhtī hai sham-e-mazār aane ko hai

be-vafā tum bā-vafā maiñ dekhiye hotā hai kyā

ġhaiz meñ aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai

ġhuncha-o-gul kar rahī haiñ kyuuñ garebāñ chaak chaak

kaun se rashk-e-chaman dil-figār aane ko hai

hijr meñ dam ghuTne ko hai kuuch hai tafrīh

saañs rukne ko hai hichkī chand baar aane ko hai

baiThī hai lailā garebāñ phāḌne ke vāste

kis ke majnūñ libās-e-tār-tār aane ko hai

ġhash se chauñko aañkh kholo dam na toḌo ai 'sharaf'

shukr sajda karo uTh baiTho yaar aane ko hai

rang jin ke miT gae hain un mein yar aane ko hai

dhum hai pazhmurda phulon mein bahaar aane ko hai

yar kuche mein tere dhuni ramane ke liye

gham-zada hasrat-zada ek KHaksar aane ko hai

rahm karna ab ki meri aankh khulne ki nahin

aaKHiri ghash mujh ko ai parwardigar aane ko hai

koi dam mein hashr hoga kuchh KHabar bhi hai tumhein

be-qarari lati hai ek be-qarar aane ko hai

bhage jate hain bagule kanpta hai najd-e-qais

KHak uDi kis ki yahan kis ka ghubar aane ko hai

hosh uDe jate hain yaro ruh hai sahmi hui

said-gah-e-ishq se kis ka shikar aane ko hai

jaan-e-jaan tu kijo jaan-baKHshi ki tujh ko dekhne

ek be-kas be-KHud o be-iKHtiyar aane ko hai

dard-e-tanhai se chhuData hai aalam naza ka

be-qarari kuch karti hai qarar aane ko hai

gul-ruKHon ki bazm mein jaane ko hai mera ghubar

peshwai ke liye abr-e-bahaar aane ko hai

ab meri aankhon ko hoga walwala didar ka

hasrat in mein aa chuki hai intizar aane ko hai

hogi ab aarasta turbat shahid-e-naz ki

chadar-e-gul bichhti hai sham-e-mazar aane ko hai

be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya

ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai

ghuncha-o-gul kar rahi hain kyun gareban chaak chaak

kaun se rashk-e-chaman ka dil-figar aane ko hai

hijr mein dam ghuTne ko hai kuch hai tafrih ka

sans rukne ko hai hichki chand bar aane ko hai

baiThi hai laila gareban phaDne ke waste

kis ke majnun ka libas-e-tar-tar aane ko hai

ghash se chaunko aankh kholo dam na toDo ai 'sharaf'

shukr ka sajda karo uTh baiTho yar aane ko hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now