Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai

Abdul Aziz Khalid

phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai

Abdul Aziz Khalid

MORE BYAbdul Aziz Khalid

    phūlī hai shafaq go ki abhī shaam nahīñ hai

    hai dil meñ vo ġham jis koī naam nahīñ hai

    kis ko nahīñ kotāhī-e-qismat shikāyat

    kis ko gila-e-gardish-e-ayyām nahīñ hai

    aflāk ke saa.e tale aisā bhī hai koī

    jo said-e-zabūñ māya-e-ālām nahīñ hai

    chhilkoñ ke haiñ ambār magar maġhz nadārat

    duniyā meñ musalmāñ to haiñ islām nahīñ hai

    īmāñ nahīñ momin mukāfāt-e-amal par

    ummīd-e-karam kyā tama-e-ḳhām nahīñ hai

    masjid ho ḳharābāt ho kū-e-butāñ ho

    is qalb-e-tapāñ ko kahīñ ārām nahīñ hai

    ai māh-visho lāla-ruḳho vasl ham ko

    ḳhvāhish to hai be-shak magar ibrām nahīñ hai

    kaifī haiñ mai-e-nāb-e-ḳhum-e-mehr-shuda ke

    ham ko talab-e-durd-e-tah-e-jām nahīñ hai

    lafzoñ ke dar-o-bast pe har-chand ho qādir

    shā.er nahīñ jo sāhab-e-ilhām nahīñ hai

    har baat hai 'ḳhālid' meñ pasandīda o matbū

    ik pairvī-e-rasm-o-rah-e-ām nahīñ hai

    phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai

    hai dil mein wo gham jis ka koi nam nahin hai

    kis ko nahin kotahi-e-qismat ki shikayat

    kis ko gila-e-gardish-e-ayyam nahin hai

    aflak ke sae tale aisa bhi hai koi

    jo said-e-zabun maya-e-alam nahin hai

    chhilkon ke hain ambar magar maghz nadarat

    duniya mein musalman to hain islam nahin hai

    iman nahin momin ka mukafat-e-amal par

    ummid-e-karam kya tama-e-KHam nahin hai

    masjid ho KHarabaat ho ya ku-e-butan ho

    is qalb-e-tapan ko kahin aaram nahin hai

    ai mah-wisho lala-ruKHo wasl ki hum ko

    KHwahish to hai be-shak magar ibram nahin hai

    kaifi hain mai-e-nab-e-KHum-e-mehr-shuda ke

    hum ko talab-e-durd-e-tah-e-jam nahin hai

    lafzon ke dar-o-bast pe har-chand ho qadir

    shaer nahin jo sahab-e-ilham nahin hai

    har baat hai 'KHalid' mein pasandida o matbu

    ek pairwi-e-rasm-o-rah-e-am nahin hai

    Source :
    • Book : sarab-e-sahil (Pg. 14)
    • Author : Abdul Aziz Khalid
    • Publication : Maqbool Acedami, Lahore (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now