Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai

Ahmad Kamal Parwazi

phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai

Ahmad Kamal Parwazi

MORE BYAhmad Kamal Parwazi

    phuul par os qatra bhī ġhalat lagtā hai

    jaane kyuuñ aap ko achchhā bhī ġhalat lagtā hai

    mujh ko ma.alūm hai mahbūb-parastī azaab

    der se chāñd nikalnā bhī ġhalat lagtā hai

    aap harf-adā.ī ye aalam hai ki ab

    peḌ par shahd chhattā bhī ġhalat lagtā hai

    ek tiir hai tarkash meñ to ujlat na karo

    aise mauqe pe nishānā bhī ġhalat lagtā hai

    shāḳh-e-gul kaaT ke tirshūl banā dete ho

    kyā gulāboñ mahaknā bhī ġhalat lagtā hai

    phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai

    jaane kyun aap ko achchha bhi ghalat lagta hai

    mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab

    der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai

    aap ki harf-adai ka ye aalam hai ki ab

    peD par shahd ka chhatta bhi ghalat lagta hai

    ek hi tir hai tarkash mein to ujlat na karo

    aise mauqe pe nishana bhi ghalat lagta hai

    shaKH-e-gul kaT ke tirshul bana dete ho

    kya gulabon ka mahakna bhi ghalat lagta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Chandi Ka waraq (Pg. 88)
    • Author : Ahmad Kamal Parvazi
    • Publication : Surkhwab Publication (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now