phir yaad use karne ki fursat nikal aai
phir yaad use karne kī fursat nikal aa.ī
mat pūchhiye kis moḌ pe qismat nikal aa.ī
kuchh in dinoñ dil us kā dukhā hai to hameñ bhī
us shaḳhs se milne kī sahūlat nikal aa.ī
ābād hue jab se un āñkhoñ ke kināre
duniyā jise samjhe the vo jannat nikal aa.ī
jo ḳhvāb kī dahlīz talak bhī nahīñ aayā
aaj us se mulāqāt kī sūrat nikal aa.ī
ab aa ke gale miltā hai pahle thā gurezāñ
kyā ham se use koī zarūrat nikal aa.ī
ik shaḳhs kī mahbūb-nigāhī ke sabab se
'ashfāq' tumhārī bhī to qāmat nikal aa.ī
phir yaad use karne ki fursat nikal aai
mat puchhiye kis moD pe qismat nikal aai
kuchh in dinon dil us ka dukha hai to hamein bhi
us shaKHs se milne ki sahulat nikal aai
aabaad hue jab se un aankhon ke kinare
duniya jise samjhe the wo jannat nikal aai
jo KHwab ki dahliz talak bhi nahin aaya
aaj us se mulaqat ki surat nikal aai
ab aa ke gale milta hai pahle tha gurezan
kya hum se use koi zarurat nikal aai
ek shaKHs ki mahbub-nigahi ke sabab se
'ashfaq' tumhaari bhi to qamat nikal aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.