Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir koi naya zaKHm naya dard ata ho

Athar Nafees

phir koi naya zaKHm naya dard ata ho

Athar Nafees

phir koī nayā zaḳhm nayā dard atā ho

us dil ḳhabar le jo tujhe bhuul chalā ho

ab dil meñ sar-e-shām charāġhāñ nahīñ hotā

sho.ala tire ġham kahīñ bujhne na lagā ho

kab ishq kiyā kis se kiyā jhuuT hai yaaro

bas bhuul bhī jaao jo kabhī ham se sunā ho

darvāza khulā hai ki koī lauT na jaa.e

aur us ke liye jo kabhī aayā na gayā ho

shāyad ki tire qurb se aa jaa.e mayassar

vo dard ki jo dard-e-judā.ī se sivā ho

ab merī ġhazal bhī taqāzā hai ye tujh se

andāz-o-adā koī uslūb nayā ho

phir koi naya zaKHm naya dard ata ho

us dil ki KHabar le jo tujhe bhul chala ho

ab dil mein sar-e-sham charaghan nahin hota

shoala tere gham ka kahin bujhne na laga ho

kab ishq kiya kis se kiya jhuT hai yaro

bas bhul bhi jao jo kabhi hum se suna ho

darwaza khula hai ki koi lauT na jae

aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho

shayad ki tere qurb se aa jae mayassar

wo dard ki jo dard-e-judai se siwa ho

ab meri ghazal ka bhi taqaza hai ye tujh se

andaz-o-ada ka koi uslub naya ho

Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 38)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now