pahli kiran ke war se pahle ki baat thi
pahlī kiran ke vaar se pahle kī baat thī
dukh sub.h-e-zar-nigār se pahle kī baat thī
āñkheñ bachī kahāñ haiñ ki ye log dekh paa.eñ
bīnā.ī is ġhubār se pahle kī baat thī
har samt maiñ huuñ aur mere hone kī hai ḳhabar
duniyā visāl-e-yār se pahle kī baat thī
sun lafz-e-intizār hai aslan sadā-e-kun
tanhā.ī intizār se pahle kī baat thī
ham hī the apnā rog bhī apnā ilaaj bhī
ye ishq ke ḳhumār se pahle kī baat thī
duniyā thī ham pe bojh ki duniyā pe bojh ham
ye baat dil pe baar se pahle kī baat thī
kohna udāsiyoñ meñ khile qahqahe the ham
ye dukh ke regzār se pahle kī baat thī
pahli kiran ke war se pahle ki baat thi
dukh subh-e-zar-nigar se pahle ki baat thi
aankhen bachi kahan hain ki ye log dekh paen
binai is ghubar se pahle ki baat thi
har samt main hun aur mere hone ki hai KHabar
duniya visal-e-yar se pahle ki baat thi
sun lafz-e-intizar hai aslan sada-e-kun
tanhai intizar se pahle ki baat thi
hum hi the apna rog bhi apna ilaj bhi
ye ishq ke KHumar se pahle ki baat thi
duniya thi hum pe bojh ki duniya pe bojh hum
ye baat dil pe bar se pahle ki baat thi
kohna udasiyon mein khile qahqahe the hum
ye dukh ke regzar se pahle ki baat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.