Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua

Saima Esma

naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua

Saima Esma

naqsh jab zaḳhm banā zaḳhm bhī nāsūr huā

ke tab koī masīhā.ī pe majbūr huā

par parvāz bhī tab tak na khule the jab tak

baiTh jaane thakan se na badan chuur huā

din chhalnī meñ tirā lamha-e-fursat chhāne

dil to lagtā hai isī kaam pe māmūr huā

dāman-e-dost hai ik zehn ke pardoñ meñ kahīñ

jis qadar haath baḌhāyā hai so vo duur huā

kabhī be-samt na hone duā māñgī thī

kasrat-e-samt se rasta mirā ma.amūr huā

chīḳhnā chāhtī huuñ chīḳh nahīñ paatī huuñ

ḳhvāb hotā thā haqīqat ko bhī manzūr huā

naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua

ja ke tab koi masihai pe majbur hua

par parwaz bhi tab tak na khule the jab tak

baiTh jaane ki thakan se na badan chur hua

din ki chhalni mein tera lamha-e-fursat chhane

dil to lagta hai isi kaam pe mamur hua

daman-e-dost hai ek zehn ke pardon mein kahin

jis qadar hath baDhaya hai so wo dur hua

kabhi be-samt na hone ki dua mangi thi

kasrat-e-samt se rasta mera mamur hua

chiKHna chahti hun chiKH nahin pati hun

KHwab hota tha haqiqat ko bhi manzur hua

Source :
  • Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 125)
  • Author : Saima Asma
  • Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road, Lahore (2006)
  • Edition : 2006
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now