Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin ye zid ki har ek dard tu mera le ja

Lutf-ur-rahman

nahin ye zid ki har ek dard tu mera le ja

Lutf-ur-rahman

nahīñ ye zid ki har ik dard mirā le

jo ho sake to ye barsoñ rat-jagā le

tirā to kyā ki ḳhud apnā bhī maiñ kabhī na rahā

mire ḳhayāl se ḳhvāboñ silsila le

kisī ne duur bahut duur se pukārā phir

diloñ qurbateñ āñkhoñ fāsla le

nikal gayā huuñ bahut apnī zaat se aage

mujh se mere bichhaḌne sāneha le

maiñ ḳhud apne ta.āqub meñ phir rahā huuñ abhī

uThā ke merī rāhoñ se rāstā le

ajiib zahr ravāñ hai lahū gardish meñ

kabhī to sholagi-e-jāñ zā.iqa le

amīr-e-shahr mujhe hurmat-e-hunar hai bahut

ye apnā turra-e-dastār ye qabā le

nahin ye zid ki har ek dard tu mera le ja

jo ho sake to ye barson ka rat-jaga le ja

tera to kya ki KHud apna bhi main kabhi na raha

mere KHayal se KHwabon ka silsila le ja

kisi ne dur bahut dur se pukara phir

dilon ki qurbaten aankhon ka fasla le ja

nikal gaya hun bahut apni zat se aage

tu mujh se mere bichhaDne ka saneha le ja

main KHud hi apne taaqub mein phir raha hun abhi

uTha ke tu meri rahon se rasta le ja

ajib zahr rawan hai lahu ki gardish mein

kabhi to sholagi-e-jaan ka zaiqa le ja

amir-e-shahr mujhe hurmat-e-hunar hai bahut

ye apna turra-e-dastar ye qaba le ja

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now