Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nakaam-e-tamanna ki afsurda-dili hogi

Amardeep Singh

nakaam-e-tamanna ki afsurda-dili hogi

Amardeep Singh

nākām-e-tamannā afsurda-dilī hogī

jab kuchh bhī nahīñ hogā āḳhir ye ghaḌī hogī

gumnām koī dastak darvāza-e-dil par hai

ik yaad ko aanā thā shāyad ye vahī hogī

dopahr ḳhāmoshī dīvār pe girtī dhuup

ik ruuh udāsī ko phir DhūñDh rahī hogī

jab tez huī bārish vo chhat pe chalā aaya

ik shaḳhs ko aise meñ rone paḌī hogī

tum soch bhī saktī ho daurān-e-visāl-e-yār

ik shaḳhs ko furqat ḳhvāhish bhī huī hogī

pahlū meñ tire aa kar dil aur fasurda hai

ai dost gumāñ ye thā do-bālā ḳhushī hogī

ik umr be-kārī har kaam se mushkil hai

is daur meñ fursat bhī mehnat se kaḌī hogī

be-fikr raho yaaro maiñ aaj bhī huuñ barbād

din phir ga.e haiñ mere afvāh uḌī hogī

shā.ir rifāqat se mahfūz rakho ḳhud ko

us zaat sohbat meñ achchhī bhī burī hogī

nakaam-e-tamanna ki afsurda-dili hogi

jab kuchh bhi nahin hoga aaKHir ye ghaDi hogi

gumnam koi dastak darwaza-e-dil par hai

ek yaad ko aana tha shayad ye wahi hogi

dopahr ki KHamoshi diwar pe girti dhup

ek ruh udasi ko phir DhunDh rahi hogi

jab tez hui barish wo chhat pe chala aaya

ek shaKHs ko aise mein rone ki paDi hogi

tum soch bhi sakti ho dauran-e-visal-e-yar

ek shaKHs ko furqat ki KHwahish bhi hui hogi

pahlu mein tere aa kar dil aur fasurda hai

ai dost guman ye tha do-baala KHushi hogi

ek umr ki be-kari har kaam se mushkil hai

is daur mein fursat bhi mehnat se kaDi hogi

be-fikr raho yaro main aaj bhi hun barbaad

din phir gae hain mere afwah uDi hogi

shair ki rifaqat se mahfuz rakho KHud ko

us zat ki sohbat mein achchhi bhi buri hogi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now