Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai

Jaleel Manikpuri

mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai

Jaleel Manikpuri

mohabbat rañg de jaatī hai jab dil dil se miltā hai

magar mushkil to ye hai dil baḌī mushkil se miltā hai

kashish se kab hai ḳhālī tishna-kāmī tishna-kāmoñ

ki baḌh kar mauja-e-dariyā lab-e-sāhil se miltā hai

luTāte haiñ vo daulat husn bāvar nahīñ aatā

hameñ to ek bosa bhī baḌī mushkil se miltā hai

gale mil kar vo ruḳhsat ho rahe haiñ haa.e kyā kahne

ye hālat hai ki bismil jis tarah bismil se miltā hai

shahādat ḳhushī aisī hai mushtāq-e-shahādat ko

kabhī ḳhanjar se miltā hai kabhī qātil se miltā hai

vo mujh ko dekh kar kuchh apne dil meñ jheñp jaate haiñ

koī parvāna jab sham-e-sar-e-mahfil se miltā hai

ḳhudā jaane ġhubār-e-rāh hai qais hai lailā

koī āġhosh khole parda-e-mahmil se miltā hai

'jalīl' us talab se baaz rahnā saḳht ġhaflat hai

ġhanīmat jāniye us ko ki vo mushkil se miltā hai

mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai

magar mushkil to ye hai dil baDi mushkil se milta hai

kashish se kab hai KHali tishna-kaami tishna-kaamon ki

ki baDh kar mauja-e-dariya lab-e-sahil se milta hai

luTate hain wo daulat husn ki bawar nahin aata

hamein to ek bosa bhi baDi mushkil se milta hai

gale mil kar wo ruKHsat ho rahe hain hae kya kahne

ye haalat hai ki bismil jis tarah bismil se milta hai

shahadat ki KHushi aisi hai mushtaq-e-shahadat ko

kabhi KHanjar se milta hai kabhi qatil se milta hai

wo mujh ko dekh kar kuchh apne dil mein jhenp jate hain

koi parwana jab sham-e-sar-e-mahfil se milta hai

KHuda jaane ghubar-e-rah hai ya qais hai laila

koi aaghosh khole parda-e-mahmil se milta hai

'jalil' us ki talab se baz rahna saKHt ghaflat hai

ghanimat jaaniye us ko ki wo mushkil se milta hai

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

Fasih Akmal

mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai Fasih Akmal

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now