Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere Thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae

Salim Saleem

mere Thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae

Salim Saleem

mire Thahrāo ko kuchh aur bhī vus.at jaa.e

ab mujhe ḳhud se nikalne ijāzat jaa.e

maut se mil leñ kisī gosha-e-tanhā.ī meñ

zindagī se jo kisī din hameñ fursat jaa.e

be-ḳhad-o-ḳhāl ik chehrā liye phirtā huuñ

chāhtā huuñ ki mujhe shakl-o-shabāhat jaa.e

bhare bāzār meñ baiThā huuñ liye jins-e-vajūd

shart ye hai ki mirī ḳhaak qīmat jaa.e

bas ki duniyā mirī āñkhoñ meñ samā jā.egī

koī din aur mire ḳhvāb ko mohlat jaa.e

mere Thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae

ab mujhe KHud se nikalne ki ijazat di jae

maut se mil len kisi gosha-e-tanhai mein

zindagi se jo kisi din hamein fursat di jae

be-KHad-o-KHal sa ek chehra liye phirta hun

chahta hun ki mujhe shakl-o-shabahat di jae

bhare bazar mein baiTha hun liye jins-e-wajud

shart ye hai ki meri KHak ki qimat di jae

bas ki duniya meri aankhon mein sama jaegi

koi din aur mere KHwab ko mohlat di jae

RECITATIONS

Salim Saleem

Salim Saleem,

00:00/00:00
Salim Saleem

mere Thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae Salim Saleem

Source :
  • Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 81)
  • Author : Salim Saleem
  • Publication : Rekhta Publications (2017)
  • Edition : First
  • Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 79)
  • Author : Salim Saleem
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 2nd

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now