Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere shanon pe unki zulf lahrai to kya hoga

Unwan Chishti

mere shanon pe unki zulf lahrai to kya hoga

Unwan Chishti

mire shānoñ pe un zulf lahrā.ī to kyā hogā

mohabbat ko ḳhunuk saa.e meñ niiñd aa.ī to kyā hogā

pareshāñ ho ke dil tark-e-ta.alluq par hai āmāda

mohabbat meñ ye sūrat bhī na raas aa.ī to kyā hogā

sar-e-mahfil vo mujh se be-sabab āñkheñ churāte haiñ

koī aise meñ tohmat un ke sar aa.ī to kyā hogā

mujhe paiham mohabbat nazar se dekhne vaale

mire dil par tirī tasvīr utar aa.ī to kyā hogā

bahut masrūr haiñ vo chhīn kar dil sukūñ 'unvāñ'

hujūm-e-ġham meñ bhī mujh ko hañsī aa.ī to kyā hogā

mere shanon pe un ki zulf lahrai to kya hoga

mohabbat ko KHunuk sae mein nind aai to kya hoga

pareshan ho ke dil tark-e-talluq par hai aamada

mohabbat mein ye surat bhi na ras aai to kya hoga

sar-e-mahfil wo mujh se be-sabab aankhen churaate hain

koi aise mein tohmat un ke sar aai to kya hoga

mujhe paiham mohabbat ki nazar se dekhne wale

mere dil par teri taswir utar aai to kya hoga

bahut masrur hain wo chhin kar dil ka sukun 'unwan'

hujum-e-gham mein bhi mujh ko hansi aai to kya hoga

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

mere shanon pe unki zulf lahrai to kya hoga Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now