Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe

Saqi Faruqi

mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe

Saqi Faruqi

mirā akelā ḳhudā yaad aa rahā hai mujhe

ye sochtā huā girjā bulā rahā hai mujhe

mujhe ḳhabar hai ki ik musht-e-ḳhāk huuñ phir bhī

kyā samajh ke havā meñ uḌā rahā hai mujhe

ye kyā tilism hai kyuuñ raat bhar sisaktā huuñ

vo kaun hai jo diyoñ meñ jalā rahā hai mujhe

usī dhyān hai aur pyaas baḌhtī jaatī hai

vo ik sarāb ki sahrā banā rahā hai mujhe

maiñ āñsuoñ meñ nahāyā huā khaḌā huuñ abhī

janam janam añdherā bulā rahā hai mujhe

mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe

ye sochta hua girja bula raha hai mujhe

mujhe KHabar hai ki ek musht-e-KHak hun phir bhi

tu kya samajh ke hawa mein uDa raha hai mujhe

ye kya tilism hai kyun raat bhar sisakta hun

wo kaun hai jo diyon mein jala raha hai mujhe

usi ka dhyan hai aur pyas baDhti jati hai

wo ek sarab ki sahra bana raha hai mujhe

main aansuon mein nahaya hua khaDa hun abhi

janam janam ka andhera bula raha hai mujhe

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now