Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut us bekas ki ghayat hi sahi

Akbar Haideri Kashmiri

maut us bekas ki ghayat hi sahi

Akbar Haideri Kashmiri

maut us bekas ġhāyat sahī

umr bhar jis ne musībat sahī

husn anjām dekheñ ahl-e-husn

ishq merā be-haqīqat sahī

zindagī hai chashm-e-ibrat meñ abhī

kuchh nahīñ to aish-o-ishrat sahī

dekh letā huuñ tabassum husn

ġham-parastī merī fitrat sahī

parda-dār-e-sādgī hai har adā

ye tasanño be-zarūrat sahī

darpai-e-āzār hai qismat to ho

ab mujhe tum se mohabbat sahī

hūr-e-be-jā talāfī kuchh to kar

ḳhair iz.hār-e-nadāmat sahī

ai ajal kuchh zindagī haq bhī hai

zindagī terī amānat sahī

kyā karūñ 'akbar' dilī jazbāt ko

is taġhazzul meñ qadāmat sahī

maut us bekas ki ghayat hi sahi

umr bhar jis ne musibat hi sahi

husn ka anjam dekhen ahl-e-husn

ishq mera be-haqiqat hi sahi

zindagi hai chashm-e-ibrat mein abhi

kuchh nahin to aish-o-ishrat hi sahi

dekh leta hun tabassum husn ka

gham-parasti meri fitrat hi sahi

parda-dar-e-sadgi hai har ada

ye tasanno be-zarurat hi sahi

darpai-e-azar hai qismat to ho

ab mujhe tum se mohabbat hi sahi

hur-e-be-ja ki talafi kuchh to kar

KHair izhaar-e-nadamat hi sahi

ai ajal kuchh zindagi ka haq bhi hai

zindagi teri amanat hi sahi

kya karun 'akbar' dili jazbaat ko

is taghazzul mein qadamat hi sahi

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now