Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan nazdik hai ya la-makan nazdik paDta hai

Khawer Eijaz

makan nazdik hai ya la-makan nazdik paDta hai

Khawer Eijaz

makāñ nazdīk hai lā-makāñ nazdīk paḌtā hai

kahīñ aa jaao mujh ko har jahāñ nazdīk paḌtā hai

jahāñ tum ho vahāñ se duur paḌtī hai zamīñ merī

jahāñ maiñ huuñ vahāñ se āsmāñ nazdīk paḌtā hai

sunā hai ik jahān-e-be-nihāyat ho magar phir bhī

ye tai hai be-karāñ ko be-karāñ nazdīk paḌtā hai

chale aate haiñ ham ik dūsre samt meñ varna

tumheñ sahrā mujhe dariyā kahāñ nazdīk paḌtā hai

na.e alfāz rakh kar dekhtā huuñ kuchh purānoñ meñ

ma.ānī se mirā rishta kahāñ nazdīk paḌtā hai

balā dhuup hai dasht-e-talab meñ ai dil-e-nādāñ

yahāñ kis aarzū sā.ebāñ nazdīk paḌtā hai

makan nazdik hai ya la-makan nazdik paDta hai

kahin aa jao mujh ko har jahan nazdik paDta hai

jahan tum ho wahan se dur paDti hai zamin meri

jahan main hun wahan se aasman nazdik paDta hai

suna hai ek jahan-e-be-nihayat ho magar phir bhi

ye tai hai be-karan ko be-karan nazdik paDta hai

chale aate hain hum ek dusre ki samt mein warna

tumhein sahra mujhe dariya kahan nazdik paDta hai

nae alfaz rakh kar dekhta hun kuchh puranon mein

maani se mera rishta kahan nazdik paDta hai

bala ki dhup hai dasht-e-talab mein ai dil-e-nadan

yahan kis aarzu ka saeban nazdik paDta hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

makan nazdik hai ya la-makan nazdik paDta hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now