Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai

Athar Nasik

main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai

Athar Nasik

MORE BYAthar Nasik

    maiñ tujhe bhūlnā chāhūñ bhī to nā-mumkin hai

    mirī pahlī mohabbat hai mirā mohsin hai

    maiñ use sub.h na jānūñ jo tire sañg nahīñ

    maiñ use shaam na mānūñ ki jo tere bin hai

    kaisā manzar hai tire hijr ke pas-e-manzar

    reg-e-sahrā hai ravāñ aur havā sākin hai

    terī āñkhoñ se tire hāthoñ se lagtā to nahīñ

    mere ahbāb ye kahte haiñ ki to kamsin hai

    abhī kuchh der meñ ho jā.egā āñgan jal-thal

    abhī āġhāz hai bārish abhī kin-min hai

    ain mumkin hai ki kal vaqt faqat merā ho

    aaj muTThī meñ ye aayā huā pahlā din hai

    aaj din to bahut ḳhair se guzrā 'nāsik'

    kal kyuuñ fikr karūñ kal ḳhudā zāmin hai

    main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai

    tu meri pahli mohabbat hai mera mohsin hai

    main use subh na jaanun jo tere sang nahin

    main use sham na manun ki jo tere bin hai

    kaisa manzar hai tere hijr ke pas-e-manzar ka

    reg-e-sahra hai rawan aur hawa sakin hai

    teri aankhon se tere hathon se lagta to nahin

    mere ahbab ye kahte hain ki to kamsin hai

    abhi kuchh der mein ho jaega aangan jal-thal

    abhi aaghaz hai barish ka abhi kin-min hai

    ain mumkin hai ki kal waqt faqat mera ho

    aaj muTThi mein ye aaya hua pahla din hai

    aaj ka din to bahut KHair se guzra 'nasik'

    kal ki kyun fikr karun kal ka KHuda zamin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now