Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam

Karamat Bukhari

lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam

Karamat Bukhari

MORE BYKaramat Bukhari

    lab pe kisī ujḌī huī jāgīr mātam

    har lafz mirā halqa-e-zanjīr mātam

    dil meñ kahīñ bujhte hue armānoñ nauha

    āñkhoñ meñ kisī yaad tasvīr mātam

    har soch meñ sañgīn fazāoñ fasāna

    har fikr meñ shāmil huā tahrīr mātam

    jab se huā ma.alūm ki ye chāñd hai patthar

    kartā huuñ maiñ ab chāñd tasḳhīr mātam

    har harf mirā karb-e-musalsal ghuTan meñ

    kartā hai mire ḳhāna-e-dil-gīr mātam

    lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam

    har lafz mera halqa-e-zanjir ka matam

    dil mein kahin bujhte hue armanon ka nauha

    aankhon mein kisi yaad ki taswir ka matam

    har soch mein sangin fazaon ka fasana

    har fikr mein shamil hua tahrir ka matam

    jab se hua malum ki ye chand hai patthar

    karta hun main ab chand ki tasKHir ka matam

    har harf mera karb-e-musalsal ki ghuTan mein

    karta hai mere KHana-e-dil-gir ka matam

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 645)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now