Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to talluq kuchh to lagao

Ibn-e-Safi

kuchh to talluq kuchh to lagao

Ibn-e-Safi

kuchh to ta.alluq kuchh to lagāo

mere dushman kahlāo

dil khilaunā haath aayā hai

khelo toḌo bahlāo

kal aġhyār meñ baiThe the tum

haañ haañ koī baat banāo

kaun hai ham chāhne vaalā

itnā bhī ab dil na dukhāo

husn thā jab mastūr hayā meñ

ishq thā ḳhūn-e-dil rachāo

husn banā jab bahtī gañgā

ishq huā kāġhaz naav

shab bhar kitnī rāteñ guzrīñ

hazrat-e-dil ab hosh meñ aao

kuchh to talluq kuchh to lagao

mere dushman hi kahlao

dil sa khilauna hath aaya hai

khelo toDo ji bahlao

kal aghyar mein baiThe the tum

han han koi baat banao

kaun hai hum sa chahne wala

itna bhi ab dil na dukhao

husn tha jab mastur haya mein

ishq tha KHun-e-dil ka rachao

husn bana jab bahti ganga

ishq hua kaghaz ki naw

shab bhar kitni raaten guzrin

hazrat-e-dil ab hosh mein aao

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kuchh to talluq kuchh to lagao Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now