Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHarch jab ho gai jazbon ki raqam aap hi aap

Fay Seen Ejaz

KHarch jab ho gai jazbon ki raqam aap hi aap

Fay Seen Ejaz

ḳharch jab ho ga.ī jazboñ raqam aap aap

khul gayā ham pe hasīnoñ bharam aap aap

ab ke rūThe to manāne nahīñ aayā koī

baat baḌh jaa.e to ho jaatī hai kam aap aap

roz baḌhtā thā koī dast-e-talab apnī taraf

sar se hotā hogā ik bojh bhī kam aap aap

un ke va.adoñ pe koī din to guzāra kiije

aap ban jā.eñge tasvīr-e-alam aap aap

jaise bujhtā hai koī phuul sharāra ban kar

husn aañch bhī ho jā.egī kam aap aap

ābgīnoñ tarah TuuT gayā TuuT gayā

ḳhvāb-e-yūsuf meñ zuleḳhā bharam aap aap

shāḳh-e-tanhā.ī se phal toḌeñge chupke chupke

ishq ke ye bhī maze lūTeñge ham aap aap

der tak chhā.ī rahī ek udāsī dil par

jaane kyā soch ke phir hañs diye ham aap aap

maiñ kahāñ aayā huuñ laa.e haiñ tirī mahfil meñ

mirī vahshat mire majbūr qadam aap aap

KHarch jab ho gai jazbon ki raqam aap hi aap

khul gaya hum pe hasinon ka bharam aap hi aap

ab ke ruThe to manane nahin aaya koi

baat baDh jae to ho jati hai kam aap hi aap

roz baDhta tha koi dast-e-talab apni taraf

sar se hota hoga ek bojh bhi kam aap hi aap

un ke wadon pe koi din to guzara kije

aap ban jaenge taswir-e-alam aap hi aap

jaise bujhta hai koi phul sharara ban kar

husn ki aanch bhi ho jaegi kam aap hi aap

aabginon ki tarah TuT gaya TuT gaya

KHwab-e-yusuf mein zuleKHa ka bharam aap hi aap

shaKH-e-tanhai se phal toDenge chupke chupke

ishq ke ye bhi maze luTenge hum aap hi aap

der tak chhai rahi ek udasi dil par

jaane kya soch ke phir hans diye hum aap hi aap

main kahan aaya hun lae hain teri mahfil mein

meri wahshat mere majbur qadam aap hi aap

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 279)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now