Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHanjar chamka raat ka sina chaak hua

Zeb Ghauri

KHanjar chamka raat ka sina chaak hua

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    ḳhanjar chamkā raat siina chaak huā

    jañgal jañgal sannāTā saffāk huā

    zaḳhm lagā kar us bhī kuchh haath khulā

    maiñ bhī dhokā khā kar kuchh chālāk huā

    merī parchhā.īñ dar o dīvār pa hai

    sub.h huī nairañg tamāshā ḳhaak huā

    kaisā dil charāġh kahāñ dil charāġh

    tez havāoñ meñ sho.ala ḳhāshāk huā

    phuul pattī pattī ḳhaak pe bikhrī hai

    rañg uḌā uḌte uḌte aflāk huā

    har dam dil shāḳh laraztī rahtī thī

    zard havā lahrā.ī qissa paak huā

    ab us talvār mirī gardan hogī

    kab ḳhālī 'zeb' mirā fitrāk huā

    KHanjar chamka raat ka sina chaak hua

    jangal jangal sannaTa saffak hua

    zaKHm laga kar us ka bhi kuchh hath khula

    main bhi dhoka kha kar kuchh chaalak hua

    meri hi parchhain dar o diwar pa hai

    subh hui nairang tamasha KHak hua

    kaisa dil ka charagh kahan ka dil ka charagh

    tez hawaon mein shoala KHashak hua

    phul ki patti patti KHak pe bikhri hai

    rang uDa uDte uDte aflak hua

    har dam dil ki shaKH larazti rahti thi

    zard hawa lahrai qissa pak hua

    ab us ki talwar meri gardan hogi

    kab ka KHali 'zeb' mera fitrak hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHanjar chamka raat ka sina chaak hua Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    KHanjar chamka raat ka sina chaak hua Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now