Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan talash mein jaun ki justuju tu hai

Asim Wasti

kahan talash mein jaun ki justuju tu hai

Asim Wasti

kahāñ talāsh meñ jā.ūñ ki justujū hai

kahīñ nahīñ hai yahāñ aur chār-sū hai

mahāz-e-jañg pe khilte nahīñ haiñ haath mire

maiñ kyā karūñ ki muqābil mirā adū hai

badal gayā hai zamāna badal ga.ī duniyā

na ab vo maiñ huuñ mirī jaañ na ab vo hai

kisī ne uTh ke yahāñ se kahīñ nahīñ jaanā

sajī hai bazm ki mauzū-e-guftugū hai

maiñ dekhtā huuñ kise kuchh mujhe nahīñ mālūm

koī bhī sāmne aa jaa.e hū-ba-hū hai

tamām ālam-e-sar-mast hai tirī ījād

ye mai-kada hai tirā sāhib-e-subū hai

tirī talab ne rakhā inhimāk pākīza

namāz-e-ishq tire vāste vazū hai

mirā gunāh bhī shā.ista-e-tavakkul hai

ki ḳhudā hai mirā aur ḳhair-ḳhū hai

ye aa.ine meñ koī aur shaḳhs hai 'āsim'

ġhalat ḳhayāl hai terā ki rū-ba-rū hai

kahan talash mein jaun ki justuju tu hai

kahin nahin hai yahan aur chaar-su tu hai

mahaz-e-jang pe khilte nahin hain hath mere

main kya karun ki muqabil mera adu tu hai

badal gaya hai zamana badal gai duniya

na ab wo main hun meri jaan na ab wo tu tu hai

kisi ne uTh ke yahan se kahin nahin jaana

saji hai bazm ki mauzu-e-guftugu tu hai

main dekhta hun kise kuchh mujhe nahin malum

koi bhi samne aa jae hu-ba-hu tu hai

tamam aalam-e-sar-mast hai teri ijad

ye mai-kada hai tera sahib-e-subu tu hai

teri talab ne rakha inhimak pakiza

namaz-e-ishq tere waste wazu tu hai

mera gunah bhi shaista-e-tawakkul hai

ki tu KHuda hai mera aur KHair-KHu tu hai

ye aaine mein koi aur shaKHs hai 'asim'

ghalat KHayal hai tera ki ru-ba-ru tu hai

Source :
  • Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 83)
  • Author : Asim Wasti
  • Publication : Rekhta Publications (2020)
  • Edition : 2nd
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now