Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai

Abdul Hamid

kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai

Abdul Hamid

MORE BYAbdul Hamid

    kabhī dekho to maujoñ taḌapnā kaisā lagtā hai

    ye dariyā itnā paanī ke pyāsā kaisā lagtā hai

    ham us se thoḌī duurī par hamesha ruk se jaate haiñ

    na jaane us se milne irāda kaisā lagtā hai

    maiñ dhīre dhīre un dushman-e-jāñ bantā jaatā huuñ

    vo āñkheñ kitnī qātil haiñ vo chehra kaisā lagtā hai

    zavāl-e-jism ko dekho to kuchh ehsās ho is

    bikhartā zarra zarra koī sahrā kaisā lagtā hai

    falak par uḌte jaate bādaloñ ko dekhtā huuñ maiñ

    havā kahtī hai mujh se ye tamāshā kaisā lagtā hai

    kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai

    ye dariya itna pani pi ke pyasa kaisa lagta hai

    hum us se thoDi duri par hamesha ruk se jate hain

    na jaane us se milne ka irada kaisa lagta hai

    main dhire dhire un ka dushman-e-jaan banta jata hun

    wo aankhen kitni qatil hain wo chehra kaisa lagta hai

    zawal-e-jism ko dekho to kuchh ehsas ho is ka

    bikharta zarra zarra koi sahra kaisa lagta hai

    falak par uDte jate baadalon ko dekhta hun main

    hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai

    RECITATIONS

    Abdul Hamid

    Abdul Hamid,

    Abdul Hamid

    kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai Abdul Hamid

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now