Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kafir tha main KHuda ka na munkir dua ka tha

Akbar Hameedi

kafir tha main KHuda ka na munkir dua ka tha

Akbar Hameedi

kāfir thā maiñ ḳhudā na munkir duā thā

lekin yahāñ savāl shikast-e-anā thā

kuchh ishq-o-āshiqī pe nahīñ merā e'tiqād

maiñ jis ko chāhtā thā hasīñ intihā thā

jal kar girā huuñ sūkhe shajar se uḌā nahīñ

maiñ ne vahī kiyā jo taqāzā vafā thā

tārīk raat mausam-e-barsāt jān-e-zār

girdāb pīchhe sāmne tūfāñ havā thā

ik umr ba.ad bhī na shifā ho sake to kyā

rag rag meñ zahr sadiyoñ āb-o-havā thā

go rāhzan vaar bhī kuchh kam na thā magar

jo vaar kārgar huā vo rahnumā thā

'akbar' jahāñ meñ kār-kushā.ī butoñ thī

achchhā rahā jo mānñe vaalā ḳhudā thā

kafir tha main KHuda ka na munkir dua ka tha

lekin yahan sawal shikast-e-ana ka tha

kuchh ishq-o-ashiqi pe nahin mera e'tiqad

main jis ko chahta tha hasin intiha ka tha

jal kar gira hun sukhe shajar se uDa nahin

main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha

tarik raat mausam-e-barsat jaan-e-zar

girdab pichhe samne tufan hawa ka tha

ek umr baad bhi na shifa ho sake to kya

rag rag mein zahr sadiyon ki aab-o-hawa ka tha

go rahzan ka war bhi kuchh kam na tha magar

jo war kargar hua wo rahnuma ka tha

'akbar' jahan mein kar-kushai buton ki thi

achchha raha jo manne wala KHuda ka tha

Source :
  • Book : Auraaq (Pg. 194)
  • Author : Vazeer Agha
  • Publication : Office auraq. chouck Urdu Bazar, Lahore (Nov. Dec. 1974)
  • Edition : Nov. Dec. 1974
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now