Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai

Imdad Hamdani

jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai

Imdad Hamdani

MORE BYImdad Hamdani

    jo narm lahje meñ baat karnā sikhā gayā hai

    vo shaḳhs 'imdād' mujh ko kundan banā gayā hai

    mohabbatoñ ke nagar se aayā thā jo payāmī

    girā ke dīvār nafratoñ chalā gayā hai

    maiñ vo musāfir huuñ jis koī nahīñ Thikānā

    ye nā-rasā.ī zaḳhm mujh ko rulā gayā hai

    musālahat paḌhā hai jab se nisāb maiñ ne

    salīqa duniyā meñ zinda rahne aa gayā hai

    yahāñ ke karbal meñ koī tishna-dahan nahīñ hai

    vo fauj nahr-e-furāt par kyuuñ biThā gayā hai

    maiñ us musāfir ko yaad kar ke mutma.in huuñ

    jo Dher saarī duā.eñ de ke chalā gayā hai

    jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai

    wo shaKHs 'imdad' mujh ko kundan bana gaya hai

    mohabbaton ke nagar se aaya tha jo payami

    gira ke diwar nafraton ki chala gaya hai

    main wo musafir hun jis ka koi nahin Thikana

    ye na-rasai ka zaKHm mujh ko rula gaya hai

    musalahat ka paDha hai jab se nisab main ne

    saliqa duniya mein zinda rahne ka aa gaya hai

    yahan ke karbal mein koi tishna-dahan nahin hai

    wo fauj nahr-e-furaat par kyun biTha gaya hai

    main us musafir ko yaad kar ke mutmain hun

    jo Dher sari duaen de ke chala gaya hai

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 352)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now