jism par khurdurī sī chhāl ugā
aañkh kī putliyoñ meñ baal ugā
tiir barsā hī chāhte haiñ sambhal
apne hāthoñ meñ ek Dhaal ugā
kaaT āgāhiyoñ kī fasl magar
zehan meñ kuchh na.e savāl ugā
dosh o fardā ko Daal gaddhe meñ
khaad se un kī roz haal ugā
baḌhī jaatī haiñ maañs kī fasleñ
in zamīnoñ pe kuchh akaal ugā
chakh chukā zā.iqe urūjoñ ke
ab zabāñ par koī zavāl ugā
jism par khurduri si chhaal uga
aankh ki putliyon mein baal uga
tir barsa hi chahte hain sambhal
apne hathon mein ek Dhaal uga
kaT aagahiyon ki fasl magar
zehan mein kuchh nae sawal uga
dosh o farda ko Dal gaddhe mein
khad se un ki roz haal uga
baDhi jati hain mans ki faslen
in zaminon pe kuchh akal uga
chakh chuka zaiqe urujon ke
ab zaban par koi zawal uga
- Book : kushaad (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.