Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis bhi jagah dekhi usne apni taswir haTa li thi

Vijay Sharma

jis bhi jagah dekhi usne apni taswir haTa li thi

Vijay Sharma

jis bhī jagah dekhī us ne apnī tasvīr haTā thī

mere dil dīvāroñ par dīmak lagne vaalī thī

ek parinda uḌne koshish meñ gir gir jaatā thā

ghar jaanā thā us ko par vo raat bahut kaalī thī

āñgan meñ jo diip qatāroñ meñ rakkhe the dhuāñ hue

havā chalī us raat bahut jab mere ghar dīvālī thī

ik muddat par ghar lauTā thā paas jab us ke baiThā maiñ

mujh meñ bhī maujūd nahīñ thī vo ḳhud meñ bhī ḳhālī thī

'arsh' bahāroñ meñ bhī aayā ek nazāra patjhaḌ

sabz shajar ke sabz tane par ik sūkhī Daalī thī

jis bhi jagah dekhi us ne apni taswir haTa li thi

mere dil ki diwaron par dimak lagne wali thi

ek parinda uDne ki koshish mein gir gir jata tha

ghar jaana tha us ko par wo raat bahut hi kali thi

aangan mein jo dip qataron mein rakkhe the dhuan hue

hawa chali us raat bahut jab mere ghar diwali thi

ek muddat par ghar lauTa tha pas jab us ke baiTha main

mujh mein bhi maujud nahin thi wo KHud mein bhi KHali thi

'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhaD ka

sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si Dali thi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now