Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhuka ke sar ko chalna jis jagah ka qaeda tha

Siraj Ajmali

jhuka ke sar ko chalna jis jagah ka qaeda tha

Siraj Ajmali

jhukā ke sar ko chalnā jis jagah qā.eda thā

mire sar bulandī se vahāñ mahshar bapā thā

qusūr-e-be-ḳhudī meñ jis ko suulī ga.ī hai

hamāre qabīle vo tanhā sar-phirā thā

use jis shab madhur āvāz meñ gaanā thā lāzim

rivāyat hai ki us shab bhī parinda chup rahā thā

farishte dam-ba-ḳhud ḳhā.if sarāsīma fazā thī

Hujūm-e-gumrahāñ thā aur ḳhudā sāmnā thā

musāfir jis ke rukne tavaqqo thī zyāda

na jaane kyuuñ bahut jaldī safar par chal diyā thā

jhuka ke sar ko chalna jis jagah ka qaeda tha

mere sar ki bulandi se wahan mahshar bapa tha

qusur-e-be-KHudi mein jis ko suli di gai hai

hamare hi qabile ka wo tanha sar-phira tha

use jis shab madhur aawaz mein gana tha lazim

riwayat hai ki us shab bhi parinda chup raha tha

farishte dam-ba-KHud KHaif sarasima faza thi

Hujum-e-gumrahan tha aur KHuda ka samna tha

musafir jis ke rukne ki tawaqqo thi zyaada

na jaane kyun bahut jaldi safar par chal diya tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now