Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui

Aftab Hussain

jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui

Aftab Hussain

jab safar se lauT kar aane tayyārī huī

be-ta.alluq thī jo shai vo bhī bahut pyārī huī

chaar sāñseñ thiiñ magar siine ko bojhal kar ga.iiñ

do qadam ye masāfat kis qadar bhārī huī

ek manzar hai ki āñkhoñ se saraktā nahīñ

ek saa.at hai ki saarī umr par taarī huī

is tarah chāleñ badaltā huuñ bisāt-e-dahr par

jiit lūñgā jis tarah ye zindagī haarī huī

kin tilismī rāstoñ meñ umr kaaTī 'āftāb'

jis qadar āsāñ lagā utnī dushvārī huī

jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui

be-talluq thi jo shai wo bhi bahut pyari hui

chaar sansen thin magar sine ko bojhal kar gain

do qadam ki ye masafat kis qadar bhaari hui

ek manzar hai ki aankhon se sarakta hi nahin

ek saat hai ki sari umr par tari hui

is tarah chaalen badalta hun bisat-e-dahr par

jit lunga jis tarah ye zindagi haari hui

kin tilismi raston mein umr kaTi 'aftab'

jis qadar aasan laga utni hi dushwari hui

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now