Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kis baat se dukha hai bahut

Alok Mishra

jaane kis baat se dukha hai bahut

Alok Mishra

jaane kis baat se dukhā hai bahut

dil ka.ī roz se ḳhafā hai bahut

sab sitāre dilāsa dete haiñ

chāñd rātoñ ko chīḳhtā hai bahut

phir vahī raat mujh meñ Thahrī hai

phir samā.at meñ shor hai bahut

tum zamāne baat karte ho

merā mujh se bhī fāsla hai bahut

us dukhtī naseñ na phaT jaa.eñ

dil musalsal ye sochtā hai bahut

vāsta kuchh zarūr hai tum se

tum ko vo shaḳhs pūchhtā hai bahut

tum se bichhḌā to TuuT jā.egā

us āñkhoñ meñ hausla hai bahut

chakh ke dekho ise kabhī tum bhī

is udāsī meñ zā.iqa hai bahut

in sāñseñ ginī-chunī haiñ bas

ḳhuun lamhoñ bah gayā hai bahut

dasht ko kar liyā thā ghar maiñ ne

ab mujhe ghar ye kāTtā hai bahut

is se bāhar nikal na pāoge

dasht maazī ye ghanā hai bahut

merā sukh dukh samajhtī haiñ ġhazleñ

zindagī ko ye aasrā hai bahut

jaane kis baat se dukha hai bahut

dil kai roz se KHafa hai bahut

sab sitare dilasa dete hain

chand raaton ko chiKHta hai bahut

phir wahi raat mujh mein Thahri hai

phir samaat mein shor sa hai bahut

tum zamane ki baat karte ho

mera mujh se bhi fasla hai bahut

us ki dukhti nasen na phaT jaen

dil musalsal ye sochta hai bahut

wasta kuchh zarur hai tum se

tum ko wo shaKHs puchhta hai bahut

tum se bichhDa to TuT jaega

us ki aankhon mein hausla hai bahut

chakh ke dekho ise kabhi tum bhi

is udasi mein zaiqa hai bahut

in ki sansen gini-chuni hain bas

KHun lamhon ka bah gaya hai bahut

dasht ko kar liya tha ghar main ne

ab mujhe ghar ye kaTta hai bahut

is se bahar nikal na paoge

dasht mazi ka ye ghana hai bahut

mera sukh dukh samajhti hain ghazlen

zindagi ko ye aasra hai bahut

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Alok Mishra

Alok Mishra

RECITATIONS

Alok Mishra

Alok Mishra,

00:00/00:00
Alok Mishra

jaane kis baat se dukha hai bahut Alok Mishra

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now