Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ke aqlim mein chaal-o-chalan kuchh aur hai

Shah Aasim

ishq ke aqlim mein chaal-o-chalan kuchh aur hai

Shah Aasim

ishq ke aqlīm meñ chāl-o-chalan kuchh aur hai

hai nirālā Dhañg vaañ aur ajā.ib taur hai

ḳhūn-e-dil piitī haiñ vaañ aur khātī haiñ laḳht-e-jigar

lutf ke badle uThāne ko jafā-o-jaur hai

un galiyoñ meñ nahīñ hotā guzar aql

hai junūñ band-o-bast aur āshiqī daur hai

zindagī aur marg shādī aur ġham aur nek-o-bad

ek saañ haiñ sab vahāñ lekin maqām-e-ġhaur hai

lā-makāñ hai vāste un maqām-e-būd-o-bāsh

go ba-zāhir kahne ko kalkatta aur lahore hai

āh-o-nāla chalā kartī haiñ vaañ tīr-o-sinān

jo ki jaatā hai vahāñ rahtā vahīñ vo Thor hai

ibtidā meñ jiite mar jaanā paḌtā hai vahāñ

par jo mar jaatā hai vaañ jiitā vahīñ fil-faur hai

huuñ maiñ jān-o-dil se 'āsim' shāh-e-ḳhādim par fidā

ishq ke kishvar meñ jis shān-o-shaukat aur hai

ishq ke aqlim mein chaal-o-chalan kuchh aur hai

hai nirala Dhang wan ka aur ajaib taur hai

KHun-e-dil piti hain wan aur khati hain laKHt-e-jigar

lutf ke badle uThane ko jafa-o-jaur hai

un ki galiyon mein nahin hota guzar hi aql ka

hai junun ka band-o-bast aur aashiqi ka daur hai

zindagi aur marg shadi aur gham aur nek-o-bad

ek san hain sab wahan lekin maqam-e-ghaur hai

la-makan hai waste un ki maqam-e-bud-o-bash

go ba-zahir kahne ko kalkatta aur lahore hai

aah-o-nala ki chala karti hain wan tir-o-sinan

jo ki jata hai wahan rahta wahin wo Thor hai

ibtida mein jite ji mar jaana paDta hai wahan

par jo mar jata hai wan jita wahin fil-faur hai

hun main jaan-o-dil se 'asim' shah-e-KHadim par fida

ishq ke kishwar mein jis ki shan-o-shaukat aur hai

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now