Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain

Zulfeqar Ahmad Tabish

in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain

Zulfeqar Ahmad Tabish

in laboñ se ab hamāre lafz ruḳhsat chāhte haiñ

jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ salāmat chāhte haiñ

naqsh sūrat likhī āvāz ko de do rihā.ī

be-takallum lafz bhī ab to ibārat chāhte haiñ

aisī yaḳh-basta ḳhamoshī meñ na phir zinda bacheñge

mere ThiThure hoñT lafzoñ harārat chāhte haiñ

mere hāthoñ par likhī tahrīr mujh se kah rahī thī

aane vaale vaqt lafzoñ shahādat chāhte haiñ

ye dar-o-dīvār par be-nām se chup-chāp saa.e

phūloñ rastoñ aur bachchoñ hifāzat chāhte haiñ

hijr ke mausam meñ yaad aatī hai ḳhushbū dostoñ

ham udāsī meñ bhī yāroñ rifāqat chāhte haiñ

in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain

jagti aankhon mein KHwabon ki salamat chahte hain

naqsh ki surat likhi aawaz ko de do rihai

be-takallum lafz bhi ab to ibarat chahte hain

aisi yaKH-basta KHamoshi mein na phir zinda bachenge

mere ThiThure honT lafzon ki hararat chahte hain

mere hathon par likhi tahrir mujh se kah rahi thi

aane wale waqt lafzon ki shahadat chahte hain

ye dar-o-diwar par be-nam se chup-chap sae

phulon raston aur bachchon ki hifazat chahte hain

hijr ke mausam mein yaad aati hai KHushbu doston ki

hum udasi mein bhi yaron ki rifaqat chahte hain

Source :
  • Book : Monthly Usloob (Pg. 540)
  • Author : Mushfiq Khawaja
  • Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
  • Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now