Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai

Mohammad Aazam

ek shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai

Mohammad Aazam

ik shaġhl shab-e-hijr zīnat tarah hai

baaqī jo ta.alluq hai vo tohmat tarah hai

kyā jāniye kis lamha ye hāthoñ se phisal jaa.e

ik rishta jo nādār ġhairat tarah hai

dekhūñ to sahī hotī hai kyā vasl tausī.a

ab hijr tirā merī zarūrat tarah hai

ik sabz nuqta ye batātā hai ki hai vo

ab us se mulāqāt alāmat tarah hai

ik sūrat-e-mauhūm ki zinda hai na murda

dekho to zamāne meñ qayāmat tarah hai

lene ko haiñ añgḌā.ī ye ḳhvābīda-o-pāmāl

jo sang yahāñ hai vo imārat tarah hai

āgāh ki gulzār hai ik ātish-e-namrūd

baaqī jo hai shaddād jannat tarah hai

hai sad-qalam-e-gul se chaman-zār sahīfa

aur jumbish-e-gul-barg tilāvat tarah hai

kam ma.arka-e-zīst nahīñ jang-e-uhad se

asbāb-e-jahāñ māl-e-ġhanīmat tarah hai

kyā kahiye ki ḳhud ġharq rahe is meñ gale tak

kahte hue duniyā ye najāsat tarah hai

ek shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai

baqi jo talluq hai wo tohmat ki tarah hai

kya jaaniye kis lamha ye hathon se phisal jae

ek rishta jo nadar ki ghairat ki tarah hai

dekhun to sahi hoti hai kya wasl ki tausia

ab hijr tera meri zarurat ki tarah hai

ek sabz sa nuqta ye batata hai ki hai wo

ab us se mulaqat alamat ki tarah hai

ek surat-e-mauhum ki zinda hai na murda

dekho to zamane mein qayamat ki tarah hai

lene ko hain angDai ye KHwabida-o-pamal

jo sang yahan hai wo imarat ki tarah hai

aagah ki gulzar hai ek aatish-e-namrud

baqi jo hai shaddad ki jannat ki tarah hai

hai sad-qalam-e-gul se chaman-zar sahifa

aur jumbish-e-gul-barg tilawat ki tarah hai

kam marka-e-zist nahin jang-e-uhad se

asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai

kya kahiye ki KHud gharq rahe is mein gale tak

kahte hue duniya ye najasat ki tarah hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now