Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek khilauna TuT jaega naya mil jaega

Adeem Hashmi

ek khilauna TuT jaega naya mil jaega

Adeem Hashmi

ik khilaunā TuuT jā.egā nayā mil jā.egā

maiñ nahīñ to koī tujh ko dūsrā mil jā.egā

bhāgtā huuñ har taraf aise havā ke saath saath

jis tarah sach-much mujhe us patā mil jā.egā

kis tarah rokoge ashkoñ ko pas-e-dīvār-e-chashm

ye to paanī hai ise to rāsta mil jā.egā

ek din to ḳhatm hogī lafz o ma.anī talāsh

ek din to mujh ko merā mudda.ā mil jā.egā

ek din to apne jhūTe ḳhol ko toḌegā vo

ek din to us darvāza khulā mill jā.egā

rahā huuñ is yaqīñ se us ke chhoḌe ghar samt

jaise vo bāhar galī meñ jhāñktā mil jā.egā

chhoḌ ḳhālī ghar ko aa bāhar chaleñ ghar se 'adīm'

kuchh nahīñ to koī chehra chāñd mil jā.egā

tez hotī rahī haiñ dhaḌkaneñ aise 'adīm'

jaise agle moḌ par vo be-vafā mil jā.egā

ek khilauna TuT jaega naya mil jaega

main nahin to koi tujh ko dusra mil jaega

bhagta hun har taraf aise hawa ke sath sath

jis tarah sach-much mujhe us ka pata mil jaega

kis tarah rokoge ashkon ko pas-e-diwar-e-chashm

ye to pani hai ise to rasta mil jaega

ek din to KHatm hogi lafz o mani ki talash

ek din to mujh ko mera muddaa mil jaega

ek din to apne jhuTe KHol ko toDega wo

ek din to us ka darwaza khula mill jaega

ja raha hun is yaqin se us ke chhoDe ghar ki samt

jaise wo bahar gali mein jhankta mil jaega

chhoD KHali ghar ko aa bahar chalen ghar se 'adim'

kuchh nahin to koi chehra chand sa mil jaega

tez hoti ja rahi hain dhaDkanen aise 'adim'

jaise agle moD par wo be-wafa mil jaega

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ek khilauna TuT jaega naya mil jaega Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now