husn-dar-husn phir aazmane ke baad
husn-dar-husn phir āzmāne ke baa'd
ḳhuun ronā paḌā dil lagāne ke baa'd
un raqīboñ meñ photo khiñchāne ke baa'd
kyā milegā tumheñ jī jalāne ke baa'd
is qadar mujh pe martī hai paglī koī
rone lagtī hai d p haTāne ke baa'd
vo patang thī kaTī aur chalī bhī ga.ī
haath dhāgā bachā bas uḌāne ke baa'd
'ishq to dūriyoñ meñ bhī miTtā nahīñ
rūThtī hai havas duur jaane ke baa'd
lag ke bahtī thī 'sāhil' se kal jo nadī
kaT ga.ī mujh se sāgar meñ jaane ke baa'd
husn-dar-husn phir aazmane ke ba'd
KHun rona paDa dil lagane ke ba'd
un raqibon mein photo khinchane ke ba'd
kya milega tumhein ji jalane ke ba'd
is qadar mujh pe marti hai pagli koi
rone lagti hai d p haTane ke ba'd
wo patang thi kaTi aur chali bhi gai
hath dhaga bacha bas uDane ke ba'd
'ishq to duriyon mein bhi miTta nahin
ruThti hai hawas dur jaane ke ba'd
lag ke bahti thi 'sahil' se kal jo nadi
kaT gai mujh se sagar mein jaane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.