Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae

Ada Jafarey

honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae

Ada Jafarey

hoñToñ pe kabhī un ke mirā naam aa.e

aa.e to sahī bar-sar-e-ilzām aa.e

hairān haiñ lab-basta haiñ dil-gīr haiñ ġhunche

ḳhushbū zabānī tirā paiġhām aa.e

lamhāt-e-masarrat haiñ tasavvur se gurezāñ

yaad aa.e haiñ jab bhī ġham-o-ālām aa.e

tāroñ se sajā leñge rah-e-shahr-e-tamannā

maqdūr nahīñ sub.h chalo shaam aa.e

kyā raah badalne gila ham-safaroñ se

jis rah se chale tere dar-o-bām aa.e

thak-hār ke baiThe haiñ sar-e-kū-e-tamannā

kaam aa.e to phir jazba-e-nākām aa.e

baaqī na rahe saakh 'adā' dasht-e-junūñ

dil meñ agar andesha-e-anjām aa.e

honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae

aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae

hairan hain lab-basta hain dil-gir hain ghunche

KHushbu ki zabani tera paigham hi aae

lamhat-e-masarrat hain tasawwur se gurezan

yaad aae hain jab bhi gham-o-alam hi aae

taron se saja lenge rah-e-shahr-e-tamanna

maqdur nahin subh chalo sham hi aae

kya rah badalne ka gila ham-safaron se

jis rah se chale tere dar-o-baam hi aae

thak-haar ke baiThe hain sar-e-ku-e-tamanna

kaam aae to phir jazba-e-nakaam hi aae

baqi na rahe sakh 'ada' dasht-e-junun ki

dil mein agar andesha-e-anjam hi aae

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Hamid Ali Khan

Hamid Ali Khan

Ustad Amanat Ali Khan

Ustad Amanat Ali Khan

Ustad Amanat Ali Khan

Ustad Amanat Ali Khan

RECITATIONS

Ustad Amanat Ali Khan

Ustad Amanat Ali Khan,

00:00/00:00
Ustad Amanat Ali Khan

honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae Ustad Amanat Ali Khan

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now