Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi

Hafeez Jaunpuri

hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    hasīnoñ se faqat sāhib-salāmat duur achchhī

    na un dostī achchhī na un dushmanī achchhī

    zamāna fasl-e-gul aur āġhāz-e-shabāb apnā

    abhī se ne tauba bhī ai zāhid kahī achchhī

    jafā-dost us ko kahtā hai koī koī vafā-dushman

    hamāre saath to us ne nibāhī dostī achchhī

    tirī ḳhātir se zāhid ham ne tauba aaj varna

    ghaḌī bhar ġham ġhalat karne ko bas vo chiiz thī achchhī

    ziyāda ai falak de ranj-o-rāhat ham ko jo kuchh de

    na do din ye ġham achchhā na do din ḳhushī achchhī

    kabhī jab haath mal kar un se kahtā huuñ ki be-bas huuñ

    to vo hañs kar ye kahte haiñ tumhārī bebasī achchhī

    jo sach pūchho hasīnoñ hayā ne rakh liyā parda

    nikal chalte gharoñ se ye to hotī dil-lagī achchhī

    ham aa.eñ aap meñ yā-rab vo jis dam aa.eñ bālīñ par

    hujūm-e-ranj-e-tanhā.ī se hai ye be-ḳhudī achchhī

    mohabbat ke maze se dil nahīñ hai āshnā jis

    na us zindagī achchhī na us maut achchhī

    vo mai-kash huuñ ki de kar duunī qīmat sab sab le

    kisī se jab sunā maiñ ne ki bhaTTī meñ khiñchī achchhī

    use duniyā sau fikreñ hameñ ik rang-e-nādārī

    kahīñ mun.im daulat se hamārī muflisī achchhī

    ḳhushī ke baa'd ġham sāmnā honā qayāmat hai

    jo ġham ke baa'd hāsil ho vo albatta ḳhushī achchhī

    na chūTegī mohabbat ġhair ham se na chūTegī

    ajī ye baat tum ne aaj to khul kar kahī achchhī

    hamāre dīda-o-dil meñ hazāroñ 'aib nikleñge

    tumhārā aa.inā achchhā tumhārī aarsī achchhī

    tire is jubba-o-dastār se rindoñ ko kyā matlab

    jise jo vaz' ho marġhūb ai zāhid vahī achchhī

    kahe sau sher tum ne sust to hāsil 'hafīz' is

    ġhazal ho chust chhoTī to baitoñ kamī achchhī

    hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi

    na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi

    zamana fasl-e-gul ka aur aaghaz-e-shabab apna

    abhi se tu ne tauba ki bhi ai zahid kahi achchhi

    jafa-dost us ko kahta hai koi koi wafa-dushman

    hamare sath to us ne nibahi dosti achchhi

    teri KHatir se zahid hum ne tauba aaj ki warna

    ghaDi bhar gham ghalat karne ko bas wo chiz thi achchhi

    ziyaada ai falak de ranj-o-rahat hum ko jo kuchh de

    na do din ka ye gham achchha na do din ki KHushi achchhi

    kabhi jab hath mal kar un se kahta hun ki be-bas hun

    to wo hans kar ye kahte hain tumhaari bebasi achchhi

    jo sach puchho hasinon ka haya ne rakh liya parda

    nikal chalte gharon se ye to hoti dil-lagi achchhi

    hum aaen aap mein ya-rab wo jis dam aaen baalin par

    hujum-e-ranj-e-tanhai se hai ye be-KHudi achchhi

    mohabbat ke maze se dil nahin hai aashna jis ka

    na us ki zindagi achchhi na us ki maut hi achchhi

    wo mai-kash hun ki de kar duni qimat sab ki sab le li

    kisi se jab suna main ne ki bhaTTi mein khinchi achchhi

    use duniya ki sau fikren hamein ek rang-e-nadari

    kahin munim ki daulat se hamari muflisi achchhi

    KHushi ke ba'd gham ka samna hona qayamat hai

    jo gham ke ba'd hasil ho wo albatta KHushi achchhi

    na chuTegi mohabbat ghair ki hum se na chuTegi

    aji ye baat tum ne aaj to khul kar kahi achchhi

    hamare dida-o-dil mein hazaron 'aib niklenge

    tumhaara aaina achchha tumhaari aarsi achchhi

    tere is jubba-o-dastar se rindon ko kya matlab

    jise jo waz' ho marghub ai zahid wahi achchhi

    kahe sau sher tum ne sust to hasil 'hafiz' is ka

    ghazal ho chust chhoTi si to baiton ki kami achchhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now