Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo

Hasan Najmi Sikandarpuri

har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo

Hasan Najmi Sikandarpuri

har zaḳhm-e-dil se anjuman-ārā.ī maañg lo

phir shahr-e-pur-hujūm se tanhā.ī maañg lo

mausam zulm sahte haiñ kis ḳhāmushī ke saath

tum pattharoñ se tarz-e-shakebā.ī maañg lo

husn-e-ta.alluqāt jo yādgār the

maazī se aise lamhoñ ra.anā.ī maañg lo

māñgo samundaroñ se na sāhil bhiik tum

haañ fikr-o-fan ke vāste gahrā.ī maañg lo

samjho unheñ jo dete haiñ ye mashvara tumheñ

nargis se haath joḌ ke bīnā.ī maañg lo

vo so ke jyuuñ uTTheñ pahuñch jaao un ke paas

aur un se inqalāb añgḌā.ī maañg lo

'najmī' sunā hai tum pe bhī mausam hai mehrbāñ

bād-e-sumūm se kabhī purvā.ī maañg lo

har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo

phir shahr-e-pur-hujum se tanhai mang lo

mausam ka zulm sahte hain kis KHamushi ke sath

tum pattharon se tarz-e-shakebai mang lo

husn-e-talluqat ki jo yaadgar the

mazi se aise lamhon ki ranai mang lo

mango samundaron se na sahil ki bhik tum

han fikr-o-fan ke waste gahrai mang lo

samjho unhen jo dete hain ye mashwara tumhein

nargis se hath joD ke binai mang lo

wo so ke jyun hi uTThen pahunch jao un ke pas

aur un se inqalab ki angDai mang lo

'najmi' suna hai tum pe bhi mausam hai mehrban

baad-e-sumum se kabhi purwai mang lo

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now