Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi

Kaleem Aajiz

har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    har-chand ġham-o-dard qīmat bhī bahut thī

    lenā paḌā dil ko zarūrat bhī bahut thī

    zālim thā vo aur zulm aadat bhī bahut thī

    majbūr the ham us se mohabbat bhī bahut thī

    go tark-e-ta.alluq meñ suhulat bhī bahut thī

    lekin na huā ham se ki ġhairat bhī bahut thī

    us but ke sitam sah ke dikhā diyā ham ne

    go apnī tabī.at meñ baġhāvat bhī bahut thī

    vāqif na thā ramz-e-mohabbat se vo varna

    dil ke liye thoḌī ināyat bahut thī

    yuuñ nahīñ mash.hūr-e-zamāna mirā qātil

    us shaḳhs ko is fan meñ mahārat bhī bahut thī

    kyā daur-e-ġhazal thā ki lahū dil meñ bahut thā

    aur dil ko lahū karne ke fursat bhī bahut thī

    har shaam sunāte the hasīnoñ ko ġhazal ham

    jab maal bahut thā to saḳhāvat bhī bahut thī

    bulvā ke ham 'ājiz' ko pashemāñ bhī bahut haiñ

    kyā kījiye kam-baḳht shohrat bhī bahut thī

    har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi

    lena hi paDa dil ko zarurat bhi bahut thi

    zalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi

    majbur the hum us se mohabbat bhi bahut thi

    go tark-e-talluq mein suhulat bhi bahut thi

    lekin na hua hum se ki ghairat bhi bahut thi

    us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne

    go apni tabiat mein baghawat bhi bahut thi

    waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se wo warna

    dil ke liye thoDi si inayat hi bahut thi

    yun hi nahin mashhur-e-zamana mera qatil

    us shaKHs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thi

    kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil mein bahut tha

    aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi

    har sham sunate the hasinon ko ghazal hum

    jab mal bahut tha to saKHawat bhi bahut thi

    bulwa ke hum 'ajiz' ko pasheman bhi bahut hain

    kya kijiye kam-baKHt ki shohrat bhi bahut thi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now