Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har but yahan TuTe hue patthar ki tarah hai

Akhtar Imam Rizvi

har but yahan TuTe hue patthar ki tarah hai

Akhtar Imam Rizvi

har but yahāñ TuuTe hue patthar tarah hai

ye shahr to ujḌe hue mandar tarah hai

maiñ tishna-e-dīdār ki jhoñkā huuñ havā

vo jhiil meñ utre hue manzar tarah hai

kam-zarf zamāne hiqārat gila kyā

maiñ ḳhush huuñ mirā pyaar samundar tarah hai

is charḳh taqdīs kabhī raat ko dekho

ye qabr pe phailī huī chādar tarah hai

maiñ sang-e-tah-e-āb sūrat huuñ jahāñ meñ

aur vaqt bhī so.e hue sāgar tarah hai

rote haiñ bagūle mire dāman se lipaT kar

sahrā bhī tabī'at meñ mire ghar tarah hai

ash'ār mire dard ḳhairāt haiñ 'aḳhtar'

ik shaḳhs ye kahtā thā ki ġham zar tarah hai

har but yahan TuTe hue patthar ki tarah hai

ye shahr to ujDe hue mandar ki tarah hai

main tishna-e-didar ki jhonka hun hawa ka

wo jhil mein utre hue manzar ki tarah hai

kam-zarf zamane ki hiqarat ka gila kya

main KHush hun mera pyar samundar ki tarah hai

is charKH ki taqdis kabhi raat ko dekho

ye qabr pe phaili hui chadar ki tarah hai

main sang-e-tah-e-ab ki surat hun jahan mein

aur waqt bhi soe hue sagar ki tarah hai

rote hain bagule mere daman se lipaT kar

sahra bhi tabi'at mein mere ghar ki tarah hai

ash'ar mere dard ki KHairaat hain 'aKHtar'

ek shaKHs ye kahta tha ki gham zar ki tarah hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now