Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum zamane se faqat husn-e-guman rakhte hain

Syed Zameer Jafri

hum zamane se faqat husn-e-guman rakhte hain

Syed Zameer Jafri

ham zamāne se faqat husn-e-gumāñ rakhte haiñ

ham zamāne se tavaqqo kahāñ rakhte haiñ

ek lamha bhī masarrat bahut hotā hai

log jiine salīqa kahāñ rakhte haiñ

kuchh hamāre bhī sitāre tire dāman pe raheñ

ham bhī kuchh ḳhvāb jahān-e-guzrāñ rakhte haiñ

chand aañsū haiñ ki hastī chamak hai jin se

kuchh havādis haiñ ki duniyā ko javāñ rakhte haiñ

jān-o-dil nazr haiñ lekin nigāh-e-lutf nazr

muft bikte haiñ qayāmat bhī girāñ rakhte haiñ

apne hisse masarrat bhī aziyyat hai 'zamīr'

har nafas pās-e-ġham-e-ham-nafasāñ rakhte haiñ

hum zamane se faqat husn-e-guman rakhte hain

hum zamane se tawaqqo hi kahan rakhte hain

ek lamha bhi masarrat ka bahut hota hai

log jine ka saliqa hi kahan rakhte hain

kuchh hamare bhi sitare tere daman pe rahen

hum bhi kuchh KHwab jahan-e-guzran rakhte hain

chand aansu hain ki hasti ki chamak hai jin se

kuchh hawadis hain ki duniya ko jawan rakhte hain

jaan-o-dil nazr hain lekin nigah-e-lutf ki nazr

muft bikte hain qayamat bhi giran rakhte hain

apne hisse ki masarrat bhi aziyyat hai 'zamir'

har nafas pas-e-gham-e-ham-nafasan rakhte hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now