Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum usko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain

Aziz Ansari

hum usko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain

Aziz Ansari

MORE BYAziz Ansari

    ham us ko bhuul baiThe haiñ añdhere ham pe taarī haiñ

    magar us ke karam ke silsile duniyā pe jaarī haiñ

    kareñ ye sair kāroñ meñ ki uḌ leñ ye jahāzoñ meñ

    farishta maut kahtā hai ye merī savārī haiñ

    na un ke qaul sachche na un ke tol sachche

    ye kaise desh ke tājir haiñ kaise byopārī haiñ

    hamārī muflisī āvārgī pe tum ko hairat kyuuñ

    hamāre paas jo kuchh hai vo sauġhāteñ tumhārī haiñ

    nasab ke ḳhuun ke rishte hoñ piine pilāne ke

    kalā.ī par bañdhe dhāge ke rishte sab pe bhārī haiñ

    ye apnī bebasī hai ki apnī be-hisī yaaro

    hai apnā haath un ke sāmne jo ḳhud bhikārī haiñ

    hameñ bhī dekh le duniyā raunaq dekhne vaale

    tirī āñkhoñ meñ jo āñkheñ haiñ vo āñkheñ hamārī haiñ

    azīz-e-nā-tavāñ ke sāmne kohsār-e-ġham halkā

    magar ehsān ke tinke azal se un pe bhārī haiñ

    hum us ko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain

    magar us ke karam ke silsile duniya pe jari hain

    karen ye sair karon mein ki uD len ye jahazon mein

    farishta maut ka kahta hai ye meri sawari hain

    na un ke qaul hi sachche na un ke tol hi sachche

    ye kaise desh ke tajir hain kaise byopari hain

    hamari muflisi aawargi pe tum ko hairat kyun

    hamare pas jo kuchh hai wo saughaten tumhaari hain

    nasab ke KHun ke rishte hon ya pine pilane ke

    kalai par bandhe dhage ke rishte sab pe bhaari hain

    ye apni bebasi hai ya ki apni be-hisi yaro

    hai apna hath un ke samne jo KHud bhikari hain

    hamein bhi dekh le duniya ki raunaq dekhne wale

    teri aankhon mein jo aankhen hain wo aankhen hamari hain

    aziz-e-na-tawan ke samne kohsar-e-gham halka

    magar ehsan ke tinke azal se un pe bhaari hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Aziz Ansari

    Aziz Ansari

    RECITATIONS

    Aziz Ansari

    Aziz Ansari,

    Aziz Ansari

    hum usko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain Aziz Ansari

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now