Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat

Raza Azimabadi

hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat

Raza Azimabadi

ham mar ga.e pa shikve muñh par na aa.ī baat

kyuuñ be-zabān āshiqoñ āzmā.ī baat

dāvā-e-ishq karne kyā muñh kisī thā

kam bolne ne tere ye saarī baḌhā.ī baat

ham-peshgī mujh se kare guftugū raqīb

muñh us dekho hai ye tumhārī sikhā.ī baat

sab kuchh paḌhāyā ham ko murdarris ne ishq ke

miltā hai jis se yaar na aisī paḌhā.ī baat

apnā kise kahūñ na kahūñ kis ko hai ġhazab

jis vaqt muñh se niklī huī phir parā.ī baat

kyā ġhair ne kahā ki lage budbudāne tum

maiñ ne bhī chheḌne na.ī ab to paa.ī baat

mazkūra kal jaane do ho jāoge ḳhafā

thamtī nahīñ zabān pe jis vaqt aa.ī baat

majnūñ ke naam se mirā haal us ne tab sunā

shukr-e-ḳhudā ki ḳhuub ban aa.ī banā.ī baat

bulbul naala aage mire is tarah se hai

jis tarah shahriyoñ se kare rūstā.ī baat

taqrīr-e-sāf par jo 'razā' kare nazar

andhe ke ta.iiñ ajab nahīñ deve dikhā.ī baat

hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat

kyun be-zaban aashiqon ki aazmai baat

dawa-e-ishq karne ka kya munh kisi ka tha

kam bolne ne tere ye sari baDhai baat

ham-peshgi ki mujh se kare guftugu raqib

munh us ka dekho hai ye tumhaari sikhai baat

sab kuchh paDhaya hum ko murdarris ne ishq ke

milta hai jis se yar na aisi paDhai baat

apna kise kahun na kahun kis ko hai ghazab

jis waqt munh se nikli hui phir parai baat

kya ghair ne kaha ki lage budbudane tum

main ne bhi chheDne ki nai ab to pai baat

mazkura kal ka jaane do ho jaoge KHafa

thamti nahin zaban pe jis waqt aai baat

majnun ke nam se mera haal us ne tab suna

shukr-e-KHuda ki KHub ban aai banai baat

bulbul ka nala aage mere is tarah se hai

jis tarah shahriyon se kare rustai baat

taqrir-e-saf par jo 'raza' ki kare nazar

andhe ke tain ajab nahin dewe dikhai baat

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now